Bachpan

Wo Bachpan ka Zamana tha – Poem, Shayari

Ek BACHPAN ka Zamana tha,
.
jisme Khushiyo ka khazana tha..
Chahat Chaand ko pane ki thi,
.
par DIL titli ka Diwana tha..
.
Khabar na thi kuch Subah ki,
Na Shaam ka thikana tha..
.
Thak-har ke aana school se,
.
Par khelne bhi jana tha..
Maa ki kahani thi,
Pariyo ka fasana tha..
.
Barish me kagaz ki naav thi,
.
Har Mausam suhana tha.. .
Har khel me Sathi the,
Har Rishta nibhana tha..
.
Gam ki zuban na hoti thi,
Na zakhmo ka paimana tha..
.
Rone ki wajah na thi,
Na hasne ka bahana tha..
.
Kyon Ho gaye hum itne bade, isse achha to…
.
“Wo Bachpan ka Zamana tha”..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *